Abdul Hamid Adam writes this ghazal. You can read and download Urdu Ghazals for free from the Info Hub website. We are providing all kinds of Urdu poetry for our readers for free so we are moving to Suna Hai Log Use Ankh Bhar K Dekhte Hain Ghazal by Ahmed Faraz .
Genre | Romantic Poetry |
Writer | Ahmed Faraz |
Title | Suna Hai Log Use Ankh Bhar K Dekhte Hain Ghazal by Ahmed Faraz |
Who is Ahmed Faraz?
Ahmed Faraz real name Syed Ahmed Shah was born on 12 January 1931 in Kohat district of Khyber Pakhtunkhwa province. His early education was from Islamia College then Edward College and his master’s degree at Peshawar University. Ahmed Faraz received Adamji Award, Hilal E Imtiaz, Hilal Pakistan, Abaseen Award, and Kamal E Fun Award. His poetry is well known among south asian as well as European countries.
Real Name | Syed Ahmed Shah |
Pen Name | Faraz |
Born at | Kohat |
Date of Birth | 12 January 1931 |
Died on | 25 August 2008 |
Also Read:
- Romantic Poetry In Urdu.
- Khaali Hai Abhi Jam Ghazal by Abdul Hamid Adam
- Kashti Chala Raha Ha Magar Ghazal by Abdul Hamid Adam
- Khairaat Sirf Itni Mili Ha Ghazal by Abdul Hamid Adam
Suna Hai Log Use Ankh Bhar K Dekhte Hain Ghazal by Ahmed Faraz
سنا ہے لوگ اسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں
سو اس کے شہر میں کچھ دن ٹھہر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے ربط ہے اس کو خراب حالوں سے
سو اپنے آپ کو برباد کر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے درد کی گاہک ہے چشم ناز اس کی
سو ہم بھی اس کی گلی سے گزر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کو بھی ہے شعر و شاعری سے شغف
سو ہم بھی معجزے اپنے ہنر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے بولے تو باتوں سے پھول جھڑتے ہیں
یہ بات ہے تو چلو بات کر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے رات اسے چاند تکتا رہتا ہے
ستارے بام فلک سے اتر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے دن کو اسے تتلیاں ستاتی ہیں
سنا ہے رات کو جگنو ٹھہر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے حشر ہیں اس کی غزال سی آنکھیں
سنا ہے اس کو ہرن دشت بھر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے رات سے بڑھ کر ہیں کاکلیں اس کی
سنا ہے شام کو سائے گزر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کی سیہ چشمگی قیامت ہے
سو اس کو سرمہ فروش آہ بھر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کے لبوں سے گلاب جلتے ہیں
سو ہم بہار پہ الزام دھر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے آئنہ تمثال ہے جبیں اس کی
جو سادہ دل ہیں اسے بن سنور کے دیکھتے ہیں
سنا ہے جب سے حمائل ہیں اس کی گردن میں
مزاج اور ہی لعل و گہر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے چشم تصور سے دشت امکاں میں
پلنگ زاویے اس کی کمر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کے بدن کی تراش ایسی ہے
کہ پھول اپنی قبائیں کتر کے دیکھتے ہیں
وہ سرو قد ہے مگر بے گل مراد نہیں
کہ اس شجر پہ شگوفے ثمر کے دیکھتے ہیں
بس اک نگاہ سے لٹتا ہے قافلہ دل کا
سو رہروان تمنا بھی ڈر کے دیکھتے ہیں
سنا ہے اس کے شبستاں سے متصل ہے بہشت
مکیں ادھر کے بھی جلوے ادھر کے دیکھتے ہیں
رکے تو گردشیں اس کا طواف کرتی ہیں
چلے تو اس کو زمانے ٹھہر کے دیکھتے ہیں
کسے نصیب کہ بے پیرہن اسے دیکھے
کبھی کبھی در و دیوار گھر کے دیکھتے ہیں
کہانیاں ہی سہی سب مبالغے ہی سہی
اگر وہ خواب ہے تعبیر کر کے دیکھتے ہیں
اب اس کے شہر میں ٹھہریں کہ کوچ کر جائیں
فرازؔ آؤ ستارے سفر کے دیکھتے ہیں
احمد فراز
suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din Thahar ke dekhte hain
suna hai rabt hai us ko KHarab-haalon se
so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain
suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki
so hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
suna hai us ko bhi hai sher o shairi se shaghaf
so hum bhi moajize apne hunar ke dekhte hain
suna hai bole to baaton se phul jhaDte hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
suna hai raat use chand takta rahta hai
sitare baam-e-falak se utar ke dekhte hain
suna hai din ko use titliyan satati hain
suna hai raat ko jugnu Thahar ke dekhte hain
suna hai hashr hain us ki ghazal si aankhen
suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
suna hai raat se baDh kar hain kakulen us ki
suna hai sham ko sae guzar ke dekhte hain
suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai
so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain
suna hai us ke labon se gulab jalte hain
so hum bahaar pe ilzam dhar ke dekhte hain
suna hai aaina timsal hai jabin us ki
jo sada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain
suna hai jab se hamail hain us ki gardan mein
mizaj aur hi lal o guhar ke dekhte hain
suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkan mein
palang zawiye us ki kamar ke dekhte hain
suna hai us ke badan ki tarash aisi hai
ki phul apni qabaen katar ke dekhte hain
wo sarw-qad hai magar be-gul-e-murad nahin
ki us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain
bas ek nigah se luTta hai qafila dil ka
so rah-rawan-e-tamanna bhi Dar ke dekhte hain
suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht
makin udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain
ruke to gardishen us ka tawaf karti hain
chale to us ko zamane Thahar ke dekhte hain
kise nasib ki be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar o diwar ghar ke dekhte hain
kahaniyan hi sahi sab mubaalghe hi sahi
agar wo KHwab hai tabir kar ke dekhte hain
ab us ke shahr mein Thahren ki kuch kar jaen
‘faraaz’ aao sitare safar ke dekhte hain
Ahmed Faraz
INFO HUB has a responsibility to share that we are always here to comply with DMCA (Digital Copyright Laws). This novel does not belong to us and we have no copyrights claim on it. We are sharing the poetry for educational purposes only and we encourage users to buy licensed books or novels.
Our website neither hosts nor uploads this novel to any server. We will accept the requests for the removal of any novel wholeheartedly and remove the link of the novel or book from our website if someone claims with proof. If you have any issues or want to send a DMCA / Removal request, then email us at [email protected]. Keep sharing Ghazal by Ahmed Faraz.